Saturday, February 19, 2011

kya hota hai manzar bechaari shamaan ke saath


Kehte hain 
parwaane chale aate hain
jalne shamaan ke pass
magar kisi ne poocha hai haal shamaan ka
jo jalti hai tmaam raat


ta-umar jal kar bhee 
bujhtee naheen pyaas
kehte hain jalne ko parwaane chale aate hain shamaan ke paas


bekraari ke aalam mein
parwaana to jal hee jaata hai
aur ho jaata hai khatam
magar socha hai kisee ne kya hota hai manzar
bechaari shamaan ke saath

RAHGUZRON KO BHEE HAM-RAZ BANAA LETA HOON


JO BHEE MILTA HAI
US-E HAMDAM BANAA LETA  HOON
DO MEETHE BOLE
SUNA DETA HOON
RAHGEER TO SABHEE HAMSAFAR HAIN
MAIN TO RAHGUZRON KO BHEE
HAM-RAZ BANAA LETA HOON

FIR BHEE NA JAANE KYON KHAFA-KHAFA CEE HAI DUNIA
NA KISI KO AKHAM DETA HOON -
NA KISI AAG KO HAWA DETA HOON

MEIN TO KHUD HEE GHAYAL HOON
KISI AUR KO GHAYAL KYA KAROONGA
GHAYAL PARINDON KO MEIN TO PANAH DETA HOON
JO BHEE MILTA HAI MARHAM LAGAA DETA HOON

FIR BHEE KOE GHAYAL HO JAAYE AGAR
TEER-E-KALAM SE
SHUKAR GUZAR HOON
US-KO DUA DETA HOON

Friday, February 18, 2011

mere liye to aaj ke bhagwaan tum hee hoge


Pathhron ka shahar...

Pathhron se ghira...

Pathhron ke puzaari sabhi hain yahaan

Magar naa kewal sanam...Insaan balki Bhagwan bhee 

pathhron ke banaaye jaate hain.


Haan mein Bhagwaan bechta hoon....khareedoge..

Das paise mein ram lelo
Yeh hanuman chawanni ka hai...
is durga kee keemat sirf ek rupayyia hai...

Bolo kya chaahiye...
Krishan Chaahiye ya fir..
Bhola shanker de doon...
kuch to le lo baba...
subha se 

ek bhee bhagwaan 

naheen bika 

ek to lelo

subha kaa bhookha hoon

tum ek le loge to

un paison se naashta kar loonga

aur...

mere liye to aaj ke

bhagwaan tum hee hoge
 

Wednesday, February 16, 2011

ladna to ..... rape hai.....


jo chhaaho.....
kya woh 
ho jaata hai...
mil jaata hai....

chaahne-na-chaahne 
se kuch naheen hota

jo 
mil jaaye.....
jo 
mukqaddar mein hai
use 
kabool kar lena....


apni 
izzat ke liye 
ladne kee 
zaroorat naheen

log 
izzat denge 
agar 
tumhein 
izzat ke 
kaabil paayenge


lad kar 
tum.....  
kisi ke dil mein 
izzat paida 
naheen ker saktee

ladna  to .....
rape hai.....
blaatkaar hai.....

blaat...kaar   
yaani 
woh  kaam 
jo zabardastee 
kiya jaaye 
woh 
blaatkaar hee hai 

aur 
jo kaam 
zabardasti 
karwaya jaaye 
woh bhee to 
blaatkaar hee hua

Tuesday, February 15, 2011

GHAYAL...usee bewaqoof ka...naam hai....


Gam ko khushi mein jo badal sakta hai
left ko right..
aur right ko left kar sakta hai
wrong jo kisi ko bhi na rehne de...

zulam...
dukh...
taqleef...
kisi ko akele na sehne de...

shabdon ko jo
kagaz ki dharti se utha..
haqeekat kee dharti
per le aata ho...
beganoo se bhi
jis-ka...
bahut nazdeek ka naata ho...

ghayal...
usi bewaqoof ka...
naam hai....

haan..ji...haan...

ghayal...usee bewaqoof ka...naam hai....


rehna kis-ko hai yahan


Patangain ud rahee theen
haan...patangain ud rahee theen
kaali, neeli, peeli, laal
haree, zaamunee aur narangee

ki pakshi jaa rahe th-e
hamein yoon bata rahe th-e

yeh zindgee
choti cee hai
aakhir sabhee ne jaana

Is duniyan mein...Is ghar mein
Is gaanv mein...nagar mein
'TANPUR' mein
naheen hai 
kisee ka bhee 
pakka thikaana

Patangain ud rahee theen
woh jyoon bataa rahee theen
yoon hi AATMA ud jaayegi,
us deep mein mil jaayegi
banaaya jis-ne sab-ko hai
ki milna jis-mein sab-ko hai

ki pakshi jaa rahe th-e
woh yoon bata rahe th-e

aaj yahaan-kal wahaan
rehna kis-ko hai yahan
Kshan-bhangur hai jahan

Patangain ud rahee theen
ki pakshi jaa rahe th-e

Iss duniya mein kya apna hai



Iss duniya mein
kya apna hai
jo kuch bhee hai
sab sapana hai

Rab saapna hai
jag sapna hai
tu sapna hai
naam bhee tera..
to sapna (can be changed) hai
iss duniya mein kya apna hai

Apna aap yahan sapana hai
Rasool -O-pak yahan sapna hai
Dharam-O-Baap yahan sapna hai

Sapna hai eemaan yahan pe
sapna ved kuran yahan pe
bhai ka bhai se naata
bhee to ya-rab ik sapna hai

Sachhaaee bhee hai sapana
shanti-ahimsa bhee sapna hai
Sab sapna hai- sab sapana hai

Agar haqikat paana chaaho
sachhaaee mein aana chaaho

Todo sapne
Chodo aanchal
in sapno ka

sapno ke janjaal se tum-ko
baahar tak to aana hoga
chod ke sapnon  kee duniya hee
sachaaee ko paana hoga

Is 'DUNIA" ko chod ke hee tu
sahee-galat pehchaan sakega
ved...Quran...O...dharam....eemaan ki
sachhi haqikat jaan sakega

Chodo-chodo daaman inka
ye hain sapane-ye hain sapane
ye woh sapane
jo naa kabhee bhee
hote
kisee ke bhee apne

aaj nahee to kal aakhir
tum-ko in-ko chodna hoga
chod ke sapno ke aanchal ko
satya se naata jodna hoga

To fir aaoo
aaj hee kyoon na
ye sab kaaraz kar daalein ham
BUZURGON ne bhee 
farmaaya hai
kaam aaj ka
kabhee bhee pyaaro
Kal par bilkul naa dalein ham

.........aameen