Saturday, March 24, 2012

BE-NOOR: MUJHE KUCH KEHNA HAI

BE-NOOR: MUJHE KUCH KEHNA HAI: mujhe kuch kehna hai kise kahoon kaise kahoon kin alfaaz se kahoon jazbaat...lafzon ke mohtaz naheen to jazbaaton ko bayaan kaise k...

Sunday, March 18, 2012

har pal naya ho....
har saans...mehka jaaye....
nayee umang ki khushboo....
aapke dil mein samaa jaaye....
sab raz....jo 
band muthi mein hain....
band
.
..
.
..
.
..
.
..
nayee aashaaon ki jyoti
.
.
aap ke is din ko
.
.
mehka de
.
.
aur aap keh uthein
.
.
.
aaz ka din
.
.meri zindgee ka
.
.
sab-se badhiya din hai
.
.
.
.aur
.
.
bhool jaayein
.
.
.
.
ki
.
.
aane waale dino mein
.
.
.
aap ko
.
.
aaj se bhee
.
.

.behtar milne waala hai
.
.
.
su-prabhaat
.
.
.
su-mangal
.
.
.
kaamnaanyein
 

Friday, February 17, 2012



Koi to ho aisa



jo sirf mera ho...






Mango jo jaan to jaan de dein-ge


apna jo bana loge


to jahaan hum de dein-ge



Baton mei uski khushbu ho



Dil mei uske basera ho



Khushboo aisee ayyegee


hamaare labon ke alfaazon se


jo dil to kya


aatma mein bas jaayegee

Chahe to chahat meri



mange to mohabbat meri




teri chaahat chaahne wala to koee


khudgarz hee hoga


teri mohabbat maangande wala


koee bhikharee se kum kya hoga


Hum to woh hain


jo chaahat teri ban jaayenge


maahoul aisa banaa dein-ge


ki


bin maage hi mohabbat teri paayenge




Wo chand ki chandni ho to



Chand sirf mera ho

Chand ki Chandani




to sooraj se liya udhaar hai




RAVI yaani SOORAJ hoon main


jo sirf tera pyaar haiWo din ki roshni ho to





Suraj sirf mera ho

Din kee roshni to mujha se yaani


sooraj sde hoti hee hai


per ik baat yeh bhee hai


ki


Roshnee hi roshnee ho jaayegi


bus


"Ishq ko dil main basaa ke dekhiye"




Wo phulon ki khushbu ho to



Ehsas sirf mera ho

khusboo hone se ehsaas ki kya zaroorat hai





khud ba khud naak main, nas nas main bas 





jaayege


maza to tab aata hai


jab..kuch bhee na ho


aue ehsaas ho jaaye


Wo raat ka ujala ho to



Chiragh sirf mera ho


raat ke ujaale main


chiraag kya dega...


zara sa hawa ka zhonka


us-ko bujha dega


hum jugnoon hain


jise na tel na baati chaahiye


hawa ke zhonke


hamain bujha na sakain


managna hee hai agar KHUDA se


tomaang lo hum ko


jeewan jag-mag...jag-mag ho jaayega




Wo ishq or mohabbat ho to


Dil sirf mera ho





Dil kya khaak ishq jkarega


jo pal mein toot jaata hai


ishq mohabbat...roohaaniyat ka


asal main


aatma se naata hai




Wo pani ka cheenta ho to


Dariya sirf mera ho




jal mein


MEEN pyasee..


mujhe dekh ke aawat haassikatra-katra jal dariya ban jaata hai





jo samander mein sama ker khaare paani 





kehlaate hai


kisi ki pyaas naheen bujha paata hai


pyaar karna ho


chaahat paalni ho 


to "OO-S" ki paalo





kisi ne kahahai


boond jo ban gayee moti


woh oo-s kee boond


gar mil jaaye


to saara saagar


bhee


uske aage


nagganyein hai
Wo kismat ki lakeer ho t
o


Haath sirf mera ho.


Koi to ho asa....




haathon ki kakeeron mein


koee taqdeer kya likkega


"SWAAL KISI KE....JAWAAB HAMAARE"




hum woh hein jo apni marzi se


lakeerein bana sakte hain


VIKRMADITYA' ki terha


likhee lakeeron ko mitaa sakte hain


apani taqdeer khud banaa sakte hain


tum-ne haath hee maanga hai


saara ka saara zism


tum pe luta sakte hain

Monday, March 21, 2011

BE-NOOR: MUJHE KUCH KEHNA HAI

BE-NOOR: MUJHE KUCH KEHNA HAI: "mujhe kuch kehna hai kise kahoon kaise kahoon kin alfaaz se kahoon jazbaat...l afzon ke mohtaz naheen to jazbaaton ko bayaan kaise karoon ..."

MUJHE KUCH KEHNA HAI

mujhe kuch kehna hai
kise kahoon
kaise kahoon
kin alfaaz se kahoon

jazbaat...l
afzon ke mohtaz naheen
to jazbaaton ko bayaan
kaise karoon

ik shokh haseen....
mukaam aaya hai
jehan mein
tera naam aaya hai

darta hoon lab tak laane se
sun kar tumhaare rooth jaane se
kaise tumhee se
tumhee ki baat kahoon

kise kahoon
kaise kahoon
kin alfaaz se kahoon

Tuesday, March 1, 2011

Kaisa abhaaga hoon mein


Kaisa abhaaga hoon mein
Jo waayda kar ke bhee nibhaa naheen sakta
khushee milne pe bhee jo muskaa naheen saktaa


jise gaana na aaye, woh to gaayega kya
mein gaayak hote hue bhee jo gaa naheen saktaa




i duniya mein rehna naheen chaahta
is-e chod ke bhee jaa naheen sakta
log to karte hee hain kaamna swarg milne kee
mujhko mil gayaa hai, fir bhee us-ko paa nahee sakta


pyaasa gar jaaye to jaaye paas koonein ke
magar jab koonaa chal ke paas mere aa gayaa hai


rassi bhee hai, aur hai baalti bhee
magar fir bhee paani kheench ke
apani pyaas bhuja naheen sakta


kaisa abhaaga hoon mein

Saturday, February 19, 2011

kya hota hai manzar bechaari shamaan ke saath


Kehte hain 
parwaane chale aate hain
jalne shamaan ke pass
magar kisi ne poocha hai haal shamaan ka
jo jalti hai tmaam raat


ta-umar jal kar bhee 
bujhtee naheen pyaas
kehte hain jalne ko parwaane chale aate hain shamaan ke paas


bekraari ke aalam mein
parwaana to jal hee jaata hai
aur ho jaata hai khatam
magar socha hai kisee ne kya hota hai manzar
bechaari shamaan ke saath