Wednesday, January 26, 2011

MARD KAMEENE HOTE HAIN

Main
isq kee duniya se doorbahut door nikal aaya hoon
apno ne bhula diya hai
e-begaano
ab tumhare paas aya hoon


gairon kee mehfil main baitha hoon 
fir bhee sab apne se lagte hain
kal raat apno main gaya tha paaya
sab chehre dhundhle lagte hain


auar nikat gaya
fir bhee chehre na saaf hue
poocha
kyon bhai
tumhara chehra dhundhla kyon hai
kya moonh kaala kar liya hai


Bola apna
kya....pee...kar aaye ho


haan....pee kar   hee aaya hoon bhai
ab bin piye raha bhee to naheen jata hai
apne se hee poocha
kyon peete ho 'GHAYAL'
Kuch samajh naheen aaya


bole apne
pee kar kya khak samajh aayega


maine kaha
tum bhee pee lo thodi cee
man bahal jaayega




Bole apne behal naheen.........baihak jaayega
naheen................
behka to pehle thaa
ab hee to hosh main aaya hoon


apne hanste hain
apna hee moonh kaala kar ke
aur fir 
chehre naa pehchaane jaayen
to kehta hain
kyon bha-ee pee kar aaye ho


Khair chodo kal kee baat
raat gayee..........baat gayee
koee aur kissa chedain


Kehte hain
ladki kee 
shaadi ke baad
duniya badal jaati hai


apne be-gaane aur........be-gaane 
apne ban jaate hain
Kaash main bhee ladkee hota
aur meri bhee duniyaa badal jaati




Kal ek ladkee keh rahee thee
Mard 'KAMEENE'  hote hain
magar main to  naheen keh sakta
MARD jo hoon bhai
mard ho kar, 
mard jaat par
keechad kaise uchaaloon
haan apne per uchaal sakta hoon




Kisi ne kuch maanga tha
de naheen paaya
socha.........waapis aaye........na aaye
kya bharosa
kisi par vishwaas bhee to naheen raha
yahan tak.......ki ......apne per bhee naheen


Woh ...............kya tha--ek gaana
"aas naheen, vishwaas naheen"
Mera man manzil ke nishaan dhoondhe.......


Vishwaas ho kaise
jab aas hee naheen
Aur fir manzil hogi 
tabhee to nishaan dhoondhenge


Manzil to bahut peeche chod aaya hoon
apno main hee apna
dhoondhte-dhoondhte
itna aage nikal aaya hoon ki
chalte-chalte kadam thak se gaye hain


Magar shaayad
shaayad kya, sach hee to hai
koee apna utha
aur begaano kee mehfil main jaa baitha


ab us-ke mukaable main
kawwali bhee to naheen gaa sakta
Kya hua jo saamne walon main aa gaya
kabhee to apna tha


Fir behak gaya hoon shaayad
magar aaj to naheen pee
fir yeh chehre
naye-naye se kyoon lagte hain


Haan yaad aaya
main apno se door
be-gaano main jo chalaa aaya tha


magar 
kuch chehre
jaane pehchaane bhee to hain
shaayad kuch apne hee
begaano main chale aayea hain
shaayad kuch apne hee
begaane ho gaye hain

Tuesday, January 25, 2011

Awwaz aati hai
samajwaad aa raha hai
ministron ke wayde
election ke samay ke poore ho rahe hain
(magar un-ke apne hee arthon mein)

Har taraf tarakki ho rahee hai
ameeron kee ameeree
gareebon kee gareebee
badh rahee hai

gareebee ko mitaaya ja raha hai
gareebon ko mita kar
ho rahee hai naa tarakki

annaachar
papachaar
duraachar
atyaachar
ku-vichaar
vyabhichaar
bharashtachaar
aur na jaane
kaun kaun se aachar
panap rahe hain
yoon lagta hai
mano satranga aachaar tayaar ho raha ho
(magar is mein sadaachaar ka naam naheen)

Bachhon ke bhookh se tadpte chehre
apni komalata kho chuke hein
aaz main dekh raha hoon
bharat ke laal kali se phool ban-ne se pehle hee
murjha rahe hain

Are bhaee
tarakki ho rahee hai
samay kee kamee hai
sab kaam jaldi-jaldi
karne pad rahe hain
tabhee to zindgi ka safar chota reh gaya hai
jawani ki kya zarurat hai
log bachpan se seedhe hi
budhaape mein kadam rakh rahe hain

kya yeh tarakki naheen

kaam nahee to daam naheen
(NO WORK --NO PAY)
yeh bhee to ek samajwaadi naara hai
jo kaam nahee karta
use khaane ka kya hak hai?
Ise kis khoobsoorti se poora kiya ja raha hai
ki chai(6) saal ka bachha
haath me bursh liye
poonjipatiyon ke joote chamkaa raha hai
Bhai theek hee to hai
kaam naheen karega to kamayega kya
aur kamayege naheen to khayega kya
yhee to samajwaad hai

Kal ek neta ji bhashan de rahe the
keh rahe the
desh ko tarakki kee oor badhao
jago desh ke yuvko
jagriti laoo
ham sabhee mil kar "CHETNA" layenge

aur sham ko kothi pahunche
PA ko awaaz di
Mehta ji CHETNA laaoo
aur theek aadhe ghante baad
chetna aa gayee
ho gayee na tarakki

POORAV-A-BHAAS



Saagar shant..................
Aasman chup


Hawa main koee goonj naheen
lehron mein thehrav
har taraf sannatta


maano
toofaan aa raha
sab kuch nashat ho jayega


kuch bhee naheen bachega
naa koee rang------naa nishan
naa umang--------naa jeewan


prakriti apni shakal kho degi
aur reh jayega
kewal
rang viheen
nirzhar
nirjeev
be-swad
be-umang
nir-uddesheya
annant sannatta


maanav dwaara kiye
vinaash kaa
up-sna-haar ban kar
yaadi
hum abhee kuch
naheen karte




aaoo
iss sab ko rokne ka
aur
vartmaan ko sahejne ka
satat paryaas karein 
abhee aur kewal abhee


agar is khofzada manzar se bachna hai
to
aaj republic per
kasam kaani hogi
is sab ko bachaane kee

EK SANKALAP


Khoon de ke lee hai aazadi maa teri
barbaad huee thee bahuen aur maatayen ghaneri
un ke patiyon aur puttron ke gun nitt hum gaayenege
Maa teri Izzat ko chaar chand lagayenege


Anaath unke the puttar aur putteriyan hue
jin-ho-ne teri khaatir maa maut ke
honth the chue
itnee mehegi aazadi ko  hum barbadi na banaayege
Maa teri Izzat ko chaar chand lagayenege


Jo toofaan ye chala hai dhokhe aur fareb ka
beda garak is ne kar diya hai kaum aur desh ka
Is toofan ka beda garak hum hee karayeneg
Maa teri Izzat ko chaar chand lagayenege


Jo yeh badhti mehaangai aur ghat-ti insaan ki kimat hai
bhadhaati bekaari aur ghata-ti sach ki  fitrat hai
jo maa ho sir pe tera haath to hum is ko mitaayenge
Maa teri Izzat ko chaar chand lagayenege


Fir hoga yahan sukh aur hogee sachhaee
bhagenge sabhi dukh aur baajegee shehnaee
Jalad is desh main hum RAM RAJYA laayenge
Maa teri Izzat ko chaar chand lagayenege


Neta jo baithe hai jamaaye kursi pe aassan
ek-ek ka chalta hai barson tak shssan
is ulti reet ko hum khatam karaayenge
Maa teri Izzat ko chaar chand lagayenege


Hoti jyoon hai ghore par kasi huee kathi
chalti hai gareeb per ameer ki yoon laathi
is laathi ke hum tukde karaayenge
Maa teri Izzat ko chaar chand lagayenege


adhik khojen kar kar ke hum
naye aayyam pe aayenge
mushkil hal jo parivaar niyojan se na ho saki
adhik utpaadan va charittar se 
woh guthi suljhayenge
Maa teri Izzat ko chaar chand lagayenege


saara up-vyay rok ke hum paisa desh ka bachaenge
swiss me pada saara paisa waapis yahan laayenge
aur fir yahee paisa desh kee tarakki mein lagayengew
pichde ilaakon ko hum unnat banayenge
Maa teri Izzat ko chaar chand lagayenege


tan, man aur dhan desh kee seva mein lagayege
jo waqat aan pada to jaan bhee lutaayenge
"GHAYAL' is desh ko hum swarag banayenge
Maa teri Izzat ko chaar chand lagayenege

Sunday, January 23, 2011

kisi dev kanya ne jyon lee angdaee hai


Basant ka mausam hai......bagon mein bahaar hai
yowan ki madmast aankho mein khumar hai

phoolon ke chehre pe ......muskahat aayee hai
kisi dev kanya ne jyon lee angdaee hai

thandi sameer se....patte jyon hilte hain
lagta hai aise ....jyoon bichure dil milta hain

takraati hain tehniyaan....aapas mein aise
milte hain bichude premi.....barson baad jaise

raaton mein chanda kee chandani....yoon barse hai
ki........thandi hon aankhein jo barson se terse hain

raaton ko chanda yoon look chip cee karta hai
jheene-jheene pardon mein.....jyoon yowan thrirakta hai

masoom mukhron pe laali yoon chaayee hai
ki.....pariyon kee sundarta yaheen simat aayee hai

seb jaise gaalon pe .....man madhosh hua jaata hai
sooni kaali raaton mein........yaad koee aata hai

bheegee - bheegee palkon se.......intzar karte hain
kaise samjhaayein tujhe......ki.....tujh se pyaar karte hain

Friday, January 21, 2011

AAPNE HAN KUJH TARAS KHAAYA KARO


ROZ MERE KHWAB WICH AAYA KARO..
ZINDGI NOO DARD DE JAAYA KARO

JINDGI NOO JINGI DA WAASTA
BE-GUNAHAN NOO NA TADPAYA KARO

JULAM MERE TE
TE GAIRAN TE KARAM

AAPNE HAAN 

KUJH TARAS KHAAYA KARO

ES  THAAN TE HAASIYAAN DI HAI SAZA

DOSTO BHUTA NA MUSKAAYA KRO

MEAINU KAR KE 'GHAYAL'
JAKHAM JO DITTE TUSAAN


MARHAM JE NAHEEN
LOON NA PAAYA KARO

AGYAN KA TIMIR


SARDIYON...MEIN
KOHRE KEE
GHUP GHANI RAAT MEIN...

SHAHER KEE SOONI VEERANI SADKON PER
TUBEIN AISE JALTI HAIN......


MANO
SAARE JAG KE
ANDHIYARE KO
 DOOR KARENGEE...CHOOR KARENGEE...

PAR...
JYOON 
DEEPAK HAI SOORAJ KO.....
AUR HAI ...
JUGNU ANDHIYARE KO...

WAISE HEE HAIN....
YEH SAB TRUBEN....
KYA KAR SAKTEEN....
KYA YEH KARENGEE...

KYA YE KARENGEE.....
DOOR TIMIR KO......
JO HAI IS JAG MEIN UMDAYA ?

AGYAN KA TIMIR HAI YEH...
DOOR NAHEEN

KAR PAAYENGEE

YEH BECHAREE 
SADKON KEE TUBEN

Sunday, January 9, 2011

"GHAYAL" tujhe neend aaye-na-aaye

Kuhda teri rehmat ka saya bahut hai
Jaroori nahi too gale se lagaye


Hai kafi bas itna
ki roein agar hum
too de kar tassalli
zara muskraye


Woh shaitan kyoon ban gaye hain
yaa kah de naheen hain woh
hawwa ke jaye


Yahaan se
khushee bhagtee ja rahi hai
lapakte chale aar rahe gum ke saaye


Chaman ki zara bekasi dekhna tum
ki khud bag-ban
aashiyana lutaaye


Meri maut per
hans raha thaa zamana
Farishton ke aansoo
magar ruk na paaye


Hai kafi
ki malik nigahon main too hai


"GHAYAL"
 tujhe neend aaye-na-aaye
 (Kabar Main)

Saturday, January 8, 2011

BE-NOOR: MERA GAM BANTNA CHAHTE HO

BE-NOOR: MERA GAM BANTNA CHAHTE HO: "Mera gam poochte ho naheen bataoonga kahte hain bantne se gam aadha ho jata hai mera gam pooch kar bantna chate ho yaani ki apni hi de..."

NIRBHAY WAQT KEE 'ASH TRAY'

Mujh main apne armano ki
chita jalaane ka sahas hai


Mere geeton ke
prteek, prtiman..............moolayr
sab toot gaye hain


Nirbhay waqt ki ASH TRAY main
sunder sapnoo kee rakh padi hai


Sabhi kalpnayain jhoothi theen
Bari bari sab tooteen


Sab vishwas khokhle nikle
sabhee asthaayen jhooteen

MERA GAM BANTNA CHAHTE HO

Mera gam poochte ho
naheen bataoonga


kahte hain bantne se
gam aadha ho jata hai


mera gam pooch kar
bantna chate ho


yaani ki apni hi dee huee
saugat...........
wapis lena
chahte ho


kuch to sharam karo


gairatmand log
kuch de kar
wapis naheen liya karte

LAASH LIYE FIRTA HOON

Main apno se door
Bahut door nikal aaya hoon
Jo apne.......apne ho kar
bhee.......apne
naa hon


un apno main
apna pan
kaise dhoondhoon


Ab to yoon lagta hai
main se bhee
mera naata
toot sa gaya hai


main khud bhee
apna naheen rah gaya hoon


mujh main se koe
mujhko
nikal le gaya hai


keweal laash
liya firta hoon