Monday, March 21, 2011

BE-NOOR: MUJHE KUCH KEHNA HAI

BE-NOOR: MUJHE KUCH KEHNA HAI: "mujhe kuch kehna hai kise kahoon kaise kahoon kin alfaaz se kahoon jazbaat...l afzon ke mohtaz naheen to jazbaaton ko bayaan kaise karoon ..."

MUJHE KUCH KEHNA HAI

mujhe kuch kehna hai
kise kahoon
kaise kahoon
kin alfaaz se kahoon

jazbaat...l
afzon ke mohtaz naheen
to jazbaaton ko bayaan
kaise karoon

ik shokh haseen....
mukaam aaya hai
jehan mein
tera naam aaya hai

darta hoon lab tak laane se
sun kar tumhaare rooth jaane se
kaise tumhee se
tumhee ki baat kahoon

kise kahoon
kaise kahoon
kin alfaaz se kahoon

Tuesday, March 1, 2011

Kaisa abhaaga hoon mein


Kaisa abhaaga hoon mein
Jo waayda kar ke bhee nibhaa naheen sakta
khushee milne pe bhee jo muskaa naheen saktaa


jise gaana na aaye, woh to gaayega kya
mein gaayak hote hue bhee jo gaa naheen saktaa




i duniya mein rehna naheen chaahta
is-e chod ke bhee jaa naheen sakta
log to karte hee hain kaamna swarg milne kee
mujhko mil gayaa hai, fir bhee us-ko paa nahee sakta


pyaasa gar jaaye to jaaye paas koonein ke
magar jab koonaa chal ke paas mere aa gayaa hai


rassi bhee hai, aur hai baalti bhee
magar fir bhee paani kheench ke
apani pyaas bhuja naheen sakta


kaisa abhaaga hoon mein