Tuesday, March 1, 2011

Kaisa abhaaga hoon mein


Kaisa abhaaga hoon mein
Jo waayda kar ke bhee nibhaa naheen sakta
khushee milne pe bhee jo muskaa naheen saktaa


jise gaana na aaye, woh to gaayega kya
mein gaayak hote hue bhee jo gaa naheen saktaa




i duniya mein rehna naheen chaahta
is-e chod ke bhee jaa naheen sakta
log to karte hee hain kaamna swarg milne kee
mujhko mil gayaa hai, fir bhee us-ko paa nahee sakta


pyaasa gar jaaye to jaaye paas koonein ke
magar jab koonaa chal ke paas mere aa gayaa hai


rassi bhee hai, aur hai baalti bhee
magar fir bhee paani kheench ke
apani pyaas bhuja naheen sakta


kaisa abhaaga hoon mein

No comments:

Post a Comment