Tuesday, January 25, 2011

Awwaz aati hai
samajwaad aa raha hai
ministron ke wayde
election ke samay ke poore ho rahe hain
(magar un-ke apne hee arthon mein)

Har taraf tarakki ho rahee hai
ameeron kee ameeree
gareebon kee gareebee
badh rahee hai

gareebee ko mitaaya ja raha hai
gareebon ko mita kar
ho rahee hai naa tarakki

annaachar
papachaar
duraachar
atyaachar
ku-vichaar
vyabhichaar
bharashtachaar
aur na jaane
kaun kaun se aachar
panap rahe hain
yoon lagta hai
mano satranga aachaar tayaar ho raha ho
(magar is mein sadaachaar ka naam naheen)

Bachhon ke bhookh se tadpte chehre
apni komalata kho chuke hein
aaz main dekh raha hoon
bharat ke laal kali se phool ban-ne se pehle hee
murjha rahe hain

Are bhaee
tarakki ho rahee hai
samay kee kamee hai
sab kaam jaldi-jaldi
karne pad rahe hain
tabhee to zindgi ka safar chota reh gaya hai
jawani ki kya zarurat hai
log bachpan se seedhe hi
budhaape mein kadam rakh rahe hain

kya yeh tarakki naheen

kaam nahee to daam naheen
(NO WORK --NO PAY)
yeh bhee to ek samajwaadi naara hai
jo kaam nahee karta
use khaane ka kya hak hai?
Ise kis khoobsoorti se poora kiya ja raha hai
ki chai(6) saal ka bachha
haath me bursh liye
poonjipatiyon ke joote chamkaa raha hai
Bhai theek hee to hai
kaam naheen karega to kamayega kya
aur kamayege naheen to khayega kya
yhee to samajwaad hai

Kal ek neta ji bhashan de rahe the
keh rahe the
desh ko tarakki kee oor badhao
jago desh ke yuvko
jagriti laoo
ham sabhee mil kar "CHETNA" layenge

aur sham ko kothi pahunche
PA ko awaaz di
Mehta ji CHETNA laaoo
aur theek aadhe ghante baad
chetna aa gayee
ho gayee na tarakki

No comments:

Post a Comment