Sunday, February 6, 2011

BANDAR KA PHODA (NASOOR)


Apne aate th-e
khaate th-e
aur
chle jaate th-e
aur
jaa kar
khilli udaate th-e
......murgee achee fansee

isee-liye
aajkal
apno ko ghaas daalna chod diya hai
ab beg-a-no se yaari hai
jinhe kam se kam ehsaas to hota hai
ki khaa rahe hain
aur woh sochta hain
ki khaa rahe hain to.....
namak hala-lee bhee
karnee hogi

Fir yoon bhee
be-gaane kuredte to naheen


kehate hain
BANDAR KO 
PHODA (NASOOR)
naa ho
woh mar jaayega

apne aayenge
haal poochenge
aur phoda.....
dekhte dekhte
kured-kured kar 
phode se 
zakham banaa denge

bandar be-chara
rok bhee to naheen sakta
apne hain
ham-dar-di jata rahe hain
aur woh pohod jo kuredte-kuredte zakham ban chuka hai
faad fainkenge
aur bandar be-chara mar jaayega

main 
marna naheen chaahta 
kisee apne ne
kha kar (DIL)
waydaa liya tha
ki 
jab "main" begana ban jaoon
to atam hatya mat karna

haan
jab apne kuredte hain
to
yoon lagta hai
ki main 
til-til kar mar rahaa hoon
apnree maut ka saamaan 
khud tayyar kar raha hoon

aur apni maut ka saamaan tayyar karna
atam-hatya hee to hai

isee liye
main apno se door.........
begano main palta hoon
ki
woh.....
kured naa paayain

No comments:

Post a Comment