Sunday, February 6, 2011

BE-NOOR


Mein
dekhta hoon
aakash mein
chamakte
asankhye, an-ginat sitaare
apnee hee
tim-timahat mein magan
maano
kaali chadar per
moti jade hon

tab
mein 
tumhaari taraf 
ghoomta hoon,
teri aankhon mein
jhankta hoon
aur
soch mein 
pad jaata hoon
ki 'US-NE'
kis parkar
is sab kaa 
saman-vay
kiya hoga.....

ek jodi aankh
aur
asankhye
tim-timaate 
sitaare

mein
fir ghoomta hoon,
aashcharya ke
saagar mein
doob jaata hoon
aur sochta hoon
ki
'WOH'
jise hum
sarav kalaa sampooran
sarav-gun sampann
maante hain
jis-ne apni srishtee ko
sunder banaane ke liye
aakash mein 
asankheye
jag-magaate 
sitaaron ki
rachnaa kee

kis parkaar....kyun...
itnee badi
bhool 'WOH'
kar baitha
aur

tumhaari
aankho mein
jyoti daalnee
bhool gaya
aur tumhen
andhaa banaa diya

anarth....ghor anarth

mein
fir ghoomta hoon
aur apne antarman mein
jhaankta hoon
sochta hoon
is
vi-sangatee ke prati
kya hum 
kuch naheen........
kuch bhee naheen....
kar sakte....


yeh shareer to
nashwar hai
naa sahee abhee
marno-praant to
netra (aankhein) daan kar

ek naheen
do andhon ko
jyoti pradaan kar
'US-KI' bhool ka
sudhaar kar sakte hain

aao
netra daan ka
sankalp lein

aaz valentine week ki
is pehali subha ko 
rose day per
do andhon ko 
aankho ke gulaab
bhent karne ka


No comments:

Post a Comment