Tuesday, February 15, 2011

Iss duniya mein kya apna hai



Iss duniya mein
kya apna hai
jo kuch bhee hai
sab sapana hai

Rab saapna hai
jag sapna hai
tu sapna hai
naam bhee tera..
to sapna (can be changed) hai
iss duniya mein kya apna hai

Apna aap yahan sapana hai
Rasool -O-pak yahan sapna hai
Dharam-O-Baap yahan sapna hai

Sapna hai eemaan yahan pe
sapna ved kuran yahan pe
bhai ka bhai se naata
bhee to ya-rab ik sapna hai

Sachhaaee bhee hai sapana
shanti-ahimsa bhee sapna hai
Sab sapna hai- sab sapana hai

Agar haqikat paana chaaho
sachhaaee mein aana chaaho

Todo sapne
Chodo aanchal
in sapno ka

sapno ke janjaal se tum-ko
baahar tak to aana hoga
chod ke sapnon  kee duniya hee
sachaaee ko paana hoga

Is 'DUNIA" ko chod ke hee tu
sahee-galat pehchaan sakega
ved...Quran...O...dharam....eemaan ki
sachhi haqikat jaan sakega

Chodo-chodo daaman inka
ye hain sapane-ye hain sapane
ye woh sapane
jo naa kabhee bhee
hote
kisee ke bhee apne

aaj nahee to kal aakhir
tum-ko in-ko chodna hoga
chod ke sapno ke aanchal ko
satya se naata jodna hoga

To fir aaoo
aaj hee kyoon na
ye sab kaaraz kar daalein ham
BUZURGON ne bhee 
farmaaya hai
kaam aaj ka
kabhee bhee pyaaro
Kal par bilkul naa dalein ham

.........aameen

No comments:

Post a Comment