Tuesday, October 2, 2012

Mein
dekhta hoon
aakash mein
chamakte
asankhye, an-ginat sitaare
apnee hee
tim-timahat mein magan
maano
kaali chadar per
moti jade hon


tab
mein 
tumhaari taraf 
ghoomta hoon,
teri aankhon mein
jhankta hoon
aur
soch mein 
pad jaata hoon
ki 'US-NE'
kis parkar
is sab kaa 
saman-vay
kiya hoga.....


ek jodi aankh
aur
asankhye
tim-timaate 
sitaare


mein
fir ghoomta hoon,
aashcharya ke
saagar mein
doob jaata hoon
aur sochta hoon
ki
'WOH'
jise hum
sarav kalaa sampooran
sarav-gun sampann
maante hain
jis-ne apni srishtee ko
sunder banaane ke liye
aakash mein 
asankheye
jag-magaate 
sitaaron ki
rachnaa kee


kis parkaar....kyun...
itnee badi
bhool 'WOH'
kar baitha
aur


tumhaari
aankho mein
jyoti daalnee
bhool gaya
aur tumhen
andhaa banaa diya


anarth....ghor anarth


mein
fir ghoomta hoon
aur apne antarman mein
jhaankta hoon
sochta hoon
is
vi-sangatee ke prati
kya hum 
kuch naheen........
kuch bhee naheen....
kar sakte....



No comments:

Post a Comment